Wednesday, October 8, 2008

Feeling Some Sad






Savera kya hua, sitaro ko bhul gaye.Suraj kya aaya,
chaand ko bhul gaye.Guzre kya kuch pal humare bina,
Aap hume hi bhool gaye.
*********************************************************
Lamha lamha waqt guzar jayega,Chand lamho mein daaman
chod jayega.Abhi waqt hai do baatein kar lo humse,
Kya pata kal kaun teri zindagi me aa jayega.
*********************************************************
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya..

Miscellaneous


Tutne Ko to bahut kuch Tut Sakta hain
Chaahe to her afsaana humse ruth Sakta hain
Kuch yun dekhi humne duniya ki haqeeqatye
ye waqt mausam ki tarah na jaane kabhi bhi badal sakta hain.
*******************************************************
zindgi hai Nadan isliye chup hoon
dard hi dard hai subah shamm isliye chup Hoon
keh to du zamane se dastan apni
Lekin Usme ayega uska Naam Isliye chup Hoon.

Ye Zindgi Ab Tanha hai.


Ek ehsaas ban aate ho

aur doosre pal khwab ban ke ud jaate ho

yeh maloom hai ki tanhai se dar hai hume

phir bhi baar baar tanha chhod jaate ho.

*****************************************

Na Poocho Humse koi baat

ke zindgi khudh ek sawaal banke reh gayi hai

Dard itna hai seene mein ke

khusi Sirf ek Sawaal Banke reh gayi..

*****************************************

Yun to duniya dekhne mein

kis kadar khush rang thi

Kabar mein jaate hi

duniya ki haqikat khul gayi.